Aik nazar to daikh pyaar ki tarha
Wo shakhas tha chetan ki tarha
Bolne par aye to vallha kya kehna un ka
Dekhne mein to lag raha tha phol k guldan ki tarha
Be'baas la'char khamosh ho k baith gay hum
Azmaiya us ne teer kaman ki tarha
Arman sare apne tot k aaj rah gay
Dil bhe lag raha hai khale makaan ki tarha
Chal pari hai yeh taza hawa kaha se
Parinde urr rahe hai ajeeb uran ki tarha
Ishq ki haar par khuram log apni jaan daite hai
Sanbhal ha hum ne khud ko baag'baan ki tarha
No comments:
Post a Comment