Kar-o-kari ke agr rasm utha le jate
Kisi aurt ke bhe izat na uchale jate
Jab wo is shehr mein tha, kyun na khyal aya mujhe
Ban to sakte the agr baat bana le jate
Kurb-e-tanhai se do chaar na hote main kabhe
Khud se milne ke agr raah nekale jate
Is liye bant'te rahte hon main auron se isey
Gham ke doulat nahe aab mujh se sanbhale jate
Dhyaan mein us k mera haal tha kuch aisa qamar
Rakh na daite to mery hath se piyaale jate
No comments:
Post a Comment