Sunday, 8 March 2015

Nazir Qamar


Meray dil k jahan se nekla

Teer aisa kamaan se nekla

Mujh ko rakhta hai tham kar har lafz

Jo bhi maa ke zubaan se nekla

Meri tak'ta hai raah hasrat se

Main to jab bhi makaan se nekla

Jab main nekla tha markey k liye

Mera dushman bhi shaan se nekla

Jab tamana the ghar basane ke

Wo na phir aastaan se nekla

Jab main ander se maar raha tha qamar

Kalma meri zubaan se nekla

No comments:

Post a Comment