(Nikah-e-Ishq)
Sitar0n kah'kasha0n jugnon jharnon
Fizaon ko chamakte chand ko badal ko bijli ko
Ghataon ko shafaq ko shaam ko meh ko
Pirindon ki sadaon ko gul0n ko titli0n ko
Khushb0n shab ki adadon ko pahar0n aabshar0n
Bahti nadaya ko kinar0n ko khizan ko
Khushk patt0n ko baharon ko nazar0n ko
Darakht0n raast0n ko onchey nechy
Sabzazar0n ko miri janab se ja kar ah
Aise dawat do k main ne aaj ki shab
Ik an0kha kaam karna hai dil-a-sada mein
Chahat ka sajeela rang bharna hai muhabbat ki
Gawai mein nikah-a-ishq karna hai
No comments:
Post a Comment