Sunday, 8 March 2015

Zubyar Qaisar


Aik inkar ke zehmaat nahi rakhe hote

Main ne aankhon mein zarorat nahi rakhe hote

Aag k aik sumandar se guzarna hai

Raah mein yaar muhabbat nahe rakhe hoti

Aise lamhon mein bhala us ko sochon kesy

Jab khyalon mein taharat nahi rakhe hote

Koi be'mol ko anmol bana daita hai

Warana is dil ke to qemaat nahe rakhe hote

Phir bhe kuch log use pharte hain rotey rotey

Jis kahani mein haqeeqat nahi rakhe hote

Chand kam'fahm se logon ka rawaya qaisar

Warna ulfat mein azeyat nahi rakhe hote

No comments:

Post a Comment