Hazaar khashe the dil ki zamin pe baithe rahe
Tafakurat rukh-e-nazneen pe baithe rahe
Wo ittefaq ka izhaar mujh se karta raha
Magar gile kai us ki jabeen pe baithe rahe
Mere khayal0n ka markaz raha wo na mehram
Kahin ke the ye kabo0tar kahin pe baithe rahe
Bulandiy0n ki hawas aandhiy0n ki zad par thi
Magar jo khaak nashin the zameen pe baithe rahe
Hamari saada mizaji to dekhiye talib
Jahan bithaya tha us ne wahin pe baithe rahe
No comments:
Post a Comment