Dard to main ne ye bars0n se chupaya howa hai
Aasmaan sar pe magar tum ne uthaya howa hai
Dastaan ishq-0-muhabbat ke na charey koi
Jaag jaye ga koi gham jo sulaaya howa hai
Log kahte hain k aankh0n mein nazar ata hai
Main ne aik dard jo sine mein chupaya howa hai
Sath apne na zamane ko bahaa le jaye
Aankh mein meri jo selaab saa aya howa hai
Baad mudaat k wo aya hai yeh kahne mujh se
Teri ghazl0n ne huma mujh ko rulaaya howa hai
No comments:
Post a Comment