Kuch is tarha se umar guzari azaab mein
Janat bhe kam lagi hai mujhe aab sowaab mein
Is roz mujh ko nend na aye gi raat bhar
Jis roz mujh se milne wo aye ga khuwab mein
Aik ghont bhe galey se utara na ja saka
Us ne mila k di mujhe wehshat sharaab mein
Honton pe aik sawal utha kar main aa gaya
Us ne sawal-e-daagh diya jab jawaab mein
Aik aashk teri aankh ka tareikh ban gaya
Aur mera gham na aaya kisi bhe hisaab mein
No comments:
Post a Comment