Saturday, 23 May 2015

Sagar Siddiqui


Aik wada hai kisi ka jo wafa hota nahi

Warna in taarun bhari raaton mein kia hota nahi

Ji mein ata hai ulat dein un k chehrey se naqaab

Hosla kartey hain lakin hosla hota nahi

Shama jis ki abro pe jaan de de jhoom kar

Woh patanga jal to jata hai Fana hota nahi

Ab to muddat se rah-o-rasm-e- nazara band hai

Ab to unka toor par b samna hota nahi

Har shanawar ko nahi milta talatum se kharaaj

Har safeeney ka muhafiz Nakhuda hota nahi

Har bhikaari pa nahi sakta muqaam-e-khawajgi

Har kis-o-nakis ko Tera Ghum ata hota nahi

Haye yeh begaangi apni nahi muj ko khabar

Haye yeh alam k Tu dil se juda hota nahi

Baar ha dekha hai Sagar rahguzaar e Ishq mein

Karwaan k saath aksar rehnuma hota nahi

No comments:

Post a Comment