Bari mushkil se nichey baith'tay hain
Jo teray sath uth'tay baith'tay hain
Akyle baithna ho ga kisi ko
Agr ham tum akhtay baith'tay hain
Ab uthna para na agle saaf se
Kaha bhe tha pichay baith'tay hain
Yahe pe silsila muwaqif kar do
Zayda tujarbe le baith'tay hain
Sark jate hai rait kinare se
Juhe khemaa laga k baith'tay hain
Nigaahen kyun na theh'ray us par khurram
Shajar par he parinde baith'tay hain
No comments:
Post a Comment