Jab bhe kabhe jaanat ko tasawur mein baasaya
Aae maa meri khud ko tery qadm0n mein he paaya
Dunya k kisi perh ke chaon mein nahi hai
Jo mujh ko ataa karta hai thandak tera saaya
Is raab ka sukar bhala kyun na kar0n main
Jis ne teri surat mein he jaanat ko dikhaya
Dharti pe main ab is liye per0n pe khara h0n
Main chalte howe jab bhe gira to ne uthaya
Yun he to nahi guzra yeh jhonka mujhe cho0 kar
Khalid mujhe lagta hai meri maa ne bulayaa
No comments:
Post a Comment