Saturday, 23 May 2015

Shoaib Altaf


Khudara kuch kiya jaye ab un magro0r aankh0n ka

Howa hai chaar so0 qissa bohat mash0or aankh0n ka

In aankh0n se talauq is qadar ihsas ka niklaa

K har dukh sukh mein nam hona bana dasto0r aankh0n ka

Sabhi likhte rahe arz gulaabi naazeen0n k

Kisi ne aaj tak s0cha nahi mazdo0r aankhon ka

Tukaf bar'tarf aana pare khud use chal kar

Jise shoq-e-nizaara hai meri majbo0r aankhon ka

Yeh us ka hukam tha suraj tumhen to dobna he tha

Use ihsaas tha meri thakan se chor aankh0n ka

Book Meri Tanhaiy0n Ke Baat Na Kar

No comments:

Post a Comment