Friday, 22 May 2015

Mannan Bijnori


Bujhaayi jaaye tahamul se aur darak se aag

Koi lagaye kaise ke agar hatak se aag

Banaaye jate hain machis ki teeliyaan jazbaat

Kahan ghar0n pe barasti hai yoon falak se aag

Guzarni chahiye do tarfa abshar0n se

Jalane bastiyan aate hai jis sarak se aag

Qaraar pyaas bujhane ka tha magar us ne

Lagayi shehr mein mashkez0n ke chalak se aag

Kise ne atishi roghan mila diya h0 ga

Bhara tha pani lage jin ghard0n mein bhak se aag

No comments:

Post a Comment