Yaad sine se laga kar main chale aai h0n
Tery dukh dard nibaha kar main chale aai hon
Tu ne jis raah pe la kar chora tha kabhi
Laash khud apni utha kar main chale aai h0n
So0 gaya tha tu shab-e-wisl mery pass waha
Subh-e-daam tujh ko jaga kar main chale aai hon
Par gaya waqat jo mushkil to pukara to ne
Teri taqdeer bana kar main chale aai h0n
Dekh kar ghair0n k andaz teri mehfil mein
Dard ko dil mein chupa kar main chale aai hon
No comments:
Post a Comment