Nashe mein behki chaal hai us ki
Mithe paniyon se bhi mithi awaz hai us ki
Lehjaye mein samaite hain rang muhabbaton k
Koyal ke kook se surile awaz hai us ki
Utar jati hai khank us ki hansi ke mery dil mein
Es qadar be'khudi mein dobi awaz hai us ki
Likhon ka qasida husan-e-taab nahe mujh mein
Hawa bhi ruk jati hai esi awaaz hai us ki
Phol jharte hai us k nazuk se honto se
Us ke adaon se bhi haseen awaz hai us ki
Hoor se hai pariyon ki rani hai wo
Dil mein saaz bajte hai aisi dil'fareb awaz hai us ki
Makhmule jism nashli aankhen shano pe bikhri zulfen
Behtay jehrno se bhe sundar awaz hai us ki
Pukarti hai jab wo mujhy kah k khurram
Sarapa geet ho jata hon aisi madhar awaz hai us ki
No comments:
Post a Comment