Yeh dil hai yaa qalandar jagta hai
Jo har khuwaish sulaa kar jagta hai
Wo pehle aankh bhar kar dekhta hai
Phir us k baad manzar jagta hai
Ise ehsaas tak hota nahi yeh
Koi mery bara'baar jagta hai
Na'jane chand ko bhi dukh hai koi
Jo mery sath aksar jagta hai
Bhara daita hai meri wehshaten bhi
Wo jab bhi mery andar jagta hai
Mera har zakhm loo denay lage ga
Chairag0n mein wo shab bhar jagta hai
Hira main jab bhi us ko dekhti h0n
Muhabbat ka sumandar jagta hai
No comments:
Post a Comment