Chairagh-e-jaan bohat bharke ga bujhne se zara pehle
So tum bhe lout jana mery kamre se zara pehle
Kahe aisa na ho tum chand ke nazr0n mein aa jao
Nikalna shaam k pehle sitare se zara pehle
Phir us k baad to ik moj mujh ko le gai warna
Ajab tha khof darya mein utarne se zara pehle
Takaf bar'taraf jab piyas chamke to chale aana
Main darwaza khula rakh0n ga pine se zara pehle
Kabhi milna jo chahon to pata asaan hai mera
Bohat chota sa ghar hai tery bungley se zara pehle
Main tujh tak neend mein chalte howe aajao ga lekin
Mujhe waqif to ho jane do raste se zara pehle
Kahe aisa na ho us bheer mein tum phir bhatak jaao
So khud ko sonp dena mujh ko melay se zara pehle
Hasan main is liye ghoma h0n shab bhar biye ahrie par
K wo taali baja daite the girne se zara pehle
No comments:
Post a Comment