Saturday, 23 May 2015

Rashid Malik


Main cigret ko hatheli par ulat kar khali karta h0n

Phir us mein dal k main teri yaadien khub malta hon

Zara sa ghum malta hon hatheli ko ghomata hon

Basa kar tujhe sanso mein main phir cigret banata hon

Laga kar apne honto se muhabbat se jalata hon

Tujhe sulgah k cigret mein main tery kash lagata hon

Dhuwa jab mery honto se nikal kar raqs karata hon

Mery charo taraf kamare mein tera aks banta hai

Main is se baat karta hon wo mujh se baat karta hai

Yeh lamha baat karne ka bara anm0l hota hai

Teri yaaden teri baaten bara mahol h0ta hai

Yeh cigret jaise jaise rahkh mein tabdel h0ta hai

To wesy wesy mery jism mein takhleel h0ta hai

Nasha kab hai yeh cigret to meri jaan ik bahana hai

Teri mehfil men ane ka mata-e-dil jalane ka tujhe apna banane ka

No comments:

Post a Comment