Saturday, 23 May 2015

Nasir Mahmod Khalid


Is say agay ki jo kahani hai,, wo tumhain bhi nahi sunani hai

Phir wohi cheez bhol baitha h0n,, jo bohat mery kaam aani hai

Khaak hun khaak k taqub main,, main ne ik umr khaak chaani hai

Dil ki zid hai k daam mein aaun,, yun to yeh chal bhi purani hai

Bhegte khuwab ghul gaey hun ge,, aaj aankh0n main sirf pani hai

Aandhiyan raat ki muheeb sahi,, aik lau hai jo phar'pharani hai

Dil kaha meri baat sunta hai,, main ne kab dil ki baat mani hai

Sach kahun dil kahe nahi lagta,, ik musalsal si be'dhiyani hai

Is samandr se dor ik dunya,, meri hamrah do0b jani hai

Wo jagah raas hi nai aai,, jis jagah zindagi bitani hai

Main zameen zaad hun zameen walo,, sirf lehja hi aasmani ha

Meri sadmat main tasalsul hai,, mery ashaar main rawani hai

No comments:

Post a Comment