Saturday, 23 May 2015

M.Ayub Sabir


Aik surat banata raha koza gaar

Hashar kya kya utha'ta raha koza gaar

Us ke takhleq jab tukre tukre hoi

Apne anso bahata raha koza gaar

Surkh rang us k hath0n se utraa nahi

Yun laho0 mein nahata raha koza gaar

Is k andar kayi saal ke piyaas the

Aab khuray banata raha koza gaar

Us k fun ko to logo ne tukhra diya

Apni qeemat lagata raha koza gaar

Shah k samne jab wo laya gaya

Hath apne chupata raha koza gaar

Roz-e-shab guzre sabir yuhe chaak par

Apna jado0 jagata raha koza gaar

No comments:

Post a Comment