Main kayenaat se pehle jahan jahan gaya tha
Tera khayaal mery sath wahan gaya tha
Mah-o-najom ko dekhon to yaad parta hai
Yahe kahein se kabhi mera karwaan gaya tha
Urran rok k yak'dam mujhe guzarna para
Puro0n k zor se warna yeh aasman gaya tha
Tum aye the to mujh ko mil k he chale jate
Yahein zameen pe tha aur main kaha gaya tha
Palat k dekh na leta agr wo jate howe
To mera jaan se jaana bhe raiyegaan gaya tha
Ise zamana howa hadaf bane howe
Zara main aankh jhapakta to wo nishaan gaya tha
Kisi mein taab nahi the kalaam karne ke
Main aik baar sitaron k darmiyaan gaya tha
Uri hoi the hawa se makalmey ke khabar
Diya kuch aur na jalta to bad'baan gaya tha
Bo0k Diye Main Jalte Raat
No comments:
Post a Comment