Saturday, 23 May 2015

Khurram


Jo zara thek se kardaar nigare ho jaye

Yeh kahani to haqeeqat pe bhe taari ho jaye

Tery haamii hain so uth kar bhe nahe jaa sakte

Jane kis waqat yahan raii shumari ho jaye

Is ko is waste dil se na nikala k kahen

Khale rakhne se makaan aur na bharii ho jaye

Acha ho ga agar is malbeey  ke partaal se qabil

Aik fahrist dar-o-baam ke jaari ho jaye

Khuwab ko ham ne pohanch mein he rakha hai khurram

Ayen mumkin hai kabhe neend se yaarii ho jaye

No comments:

Post a Comment