Saturday, 23 May 2015

Riffat Seraj


Mene socha tha aj aap ayen ge to ro doon gi

Aap puchain ge to sab haal keh doon gi

Keh doon gi ke kitne din huye soyi nahin

Woh kon si bhool hai jo huwi nahin

Kitaab fridge mein Glass shelf mein rakha

Peer ka din tha jumeraat likha

Saheli se shikwa karna tha usey spaas likha

Tv per geet tha Azaan nahin

Mene chonk kar aanchal sar per rakha

Kya haal kar diya mera mujhe kisi kaam ka na rakha

Aur jab aap ne aakar poocha,
Kya haal hai

To mein itna hi keh saki Theek Hoon

No comments:

Post a Comment