Friday, 22 May 2015

Hassan Kazmi

Hasan Kazmi
Aankhon mein aa k koi dil mein sama gaya hai

Ghar mein chahel pahel hai mehmaan aa gaya hai

Bazar bagh raste itni haseen kahan the

Wo kaun tha jo sari basti saja gaya hai

Aab k baras chaman mein hain titliyan na bhawre

Sare gulaab le kar koi chala gaya hai

Dushwar hai hasan ab us k baghair jeena

Itna qareeb mere aik shakhs aa gaya hai

No comments:

Post a Comment