Friday, 8 May 2015

Washma Khan Washma

Washma Khan Washma
Aasmaan ke wadiy0n se aik sitara gir gaya

Meri nazron mein aa kar phir dobara gir gaya

Chalte chalte aa gaya tha soch k pindar mein

Sochti h0n phir achank kyun sahara gir gaya

Zindagi jab pyar ke tameer mein he kaat gai

Kis qadar khush hai adaao jab ghar hamara gir gaya

Pyaar ke in barishon mein sab nahaye the magar

Waqat mushkil aa para to har nazara gir gaya

K0n hai jis se shikayat kar sako aae zindagi

Aks-e-washma tha kabhi jab wo sitaara gir gaya

Bo0k Aks E Washma

No comments:

Post a Comment