Muddat0n main ye baat jaani hai
Zindagi dard ki kahani hai
Hun zameen se juda huwa lekin
Fikr jo bhi hai aasmani hai
Koi daiya hai mere pahlu main
Mauj jaisi meri rawani hai
Dekh leta hun apne maazi ko
Ghar main tasveer ik purani hai
Yun to sab ki misaal milti hai
Zakhm-e-dil ka na koi saani hai
Us ke dhun main hamesha rahte hain
Apne dil main jo baat thani hai
Sare mausam hain bewafa lekin
Ik muhabbat ki rut suhani hai
Maut kahti hai jis ko ye duniya
Wo bala koi nsgahani hai
Wo asar hai hamari ghazl0n main
Sun k pathar bhi paani paani hai
No comments:
Post a Comment