Saturday, 23 May 2015

Azeez Belgaumi


Muhub hamen koi aise mile,, khuda na kare

K dil pe chot to khaye,, magar gila na kare

Koi yeh kaam kabhi,, bhol kar kiya na kare

Tumhara naam zubaan par,, koi liya na kare

Zamane ke yeh rawaish hai,, hamare sath he kyun

Hamare sath jafa he kare,, wafa na kare

Yahe dua hai duaon ka,, ma'daa hai yahe

K bad'dua ko kabhe,, hath yeh utha na kare

To meri ruh ke gehraiy0n mein,, zindha hai

Tery bighair meri sans,, bhe chala na kare

Azeez ap ke gum'namiy0n ka char'cha hai

Hai ab yeh hall,, koi yaad bhe kiya na kare

Book Dil K Daman Par

No comments:

Post a Comment