Tuesday, 9 September 2014

Azhar Fragh

Malah0n ka to bas dana pani hai

Kashti bhi us ki hai jis ka pani hai

Es darya ko dob k suna'na parta hai

Awaz0n se milta julta pani hai

Tery mery khet0n ka yaarana hai

Or ik ham hai k apna jhagra pani hai

Bari nahi hai warna m0j sumandr se

Es ki kh0bi yeh hai k chalta pani hai

Piyaas ki pidaish to kal ka qisa hai

Es dharti ka pehla beeta pani hai

Seem zada ghar mein bhi kitna payasa h0n

Divar0n k andar kitna pani hai

Rone wale ne takheer se kaam liya

Lagta hai taalab mein pichlaa pani hai

No comments:

Post a Comment