Akhir shab talak raho gay tum
.
Zalim0n kab talak raho gay tum
.
Shehr mein aaman ho nahi sakta
.
Shehr mein jab talak raho gay tum
.
Mit nahi jate jab talak basti
.
Kya yahan tab talak raho gay tum
.
Behriye janglon mein rahte hain
.
Shehr mein kab talak raho gay tum
.
Aab se agay to ja nahi sakte
.
Aab talak aab talak raho gay tum
.
Hum garib0n se kya gharz tum ko
.
Apne matlab talak raho gay tum
.
Aik isharay ki dair hai baqi
.
Janbish laab talak raho gay tum
No comments:
Post a Comment