Saturday, 6 September 2014

Dil Shaad Nasim

Aik paal mein baha diya mujh ko
.
Tum ne ans0o bana diya mujh ko
.
Tujh ko khonay k khouf ne aksaar
.
Kachi nendo0 se jaga diya mujh ko
.
Shehr ki sar'phiri hawaon ne
.
Janay kis se mila Diya mujh ko
.
Pocha yeh intazaar kab tak hai
.
Hans k us ne dekha diya mujh ko
.
Jis ka dar tha wohi howa akhir
.
Parh k qisa bana diya mujh ko
.
Misl-e-shabnam pari howi the yaha
.
Tum ne ghar bana diya mujh ko
.
Kitni masom-o-sada the dil'shaad
.
Tum ne kya kuch sikha diya mujh ko

No comments:

Post a Comment