.
Main apney mansab se kab talak bar'taraf rahon ga
.
Mujhey bahar'hal us ka rasta ujalna hai
.
Bujhey ga soraj to main sitara bakaf rahon ga
.
Udhar se koi sitaara mujh ko bula raha hai
.
Main kab talak aasman ke is taraf rahon ga
.
Main fakhtaun ki fauj ka akhri alamdaar
.
So terey lashkar ke samney saf ba'saf rahon ga
.
Koi bulawa keh main zameen ki kashish se niklon
.
Yahan raha to aseer-e-shaam-0-jajaf rahon ga
Book Muhabbat Khasaara Nahen
No comments:
Post a Comment