Tuesday, 9 September 2014

Ishfaq Nasir

Aks ko phol bana'ne mein guzar jate hai

Zindagi aaiina khane mein guzar jate hai

Shaam hoti hai to lagta hai koi roth gaya

Or shab us ko maana'nay mein guzar jati hai

Har muhabbat k liye dil mein alag khana hai

Har muhabbat usi khane mein guzar jati hai

Zindagi bohj batata tha bichrnay wala

Ye to bas aik bah'nay mein guzar jati hai

Jo ghari rakhte hain izhar-e-muhabbat k liye

Wo ghari baat bana'nay mein guzar jati hai

To bata aankh naya khwab kaha se dekhay

Roz-e-shab tujh ko bhulany mein guzar jati hai

Wo chala jata hai or sat-e-rukhsaat ishfaq

Jism ka bohj utha'nay mein guzar jati hai

No comments:

Post a Comment