Monday, 8 September 2014

Maqdaad Iqdaas

Taay kiya hai to kar he jaana hai
.
Dil ne haad se guzaar jaana hai
.
Aisa karte hain tum pe maartay hain
.
Hum ne yuh bhi to maar he jaana hai
.
Wo nashaa jis ko zeesht kahtay hain
.
Us ne ik din utaar he jaana hai
.
Sab ne jo jo samait rakha hai
.
Sab ka sab wo bikhar he jaana hai
.
Chartay qadmo0 ne saans k akhir
.
Sirhiy0n se utaar he jaana hai
.
Waqt wo bhi guzaar gaya yaaro
.
Waqt yeh bhi guzaar jaana hai
.
Baad mudaat k ho milay iqdaas
.
Thora baitho k ghar he jaana hai

No comments:

Post a Comment