Tuesday, 9 September 2014

Shahzad Nayyar

Gir jaye zameen par to sambhalay nahi jatay

Bazar mein dukh dard uchalay nahi jatay

Jate nahi sehraa0n ko ham ishq-e-gerift

Jab tak dil-e-majn0n ki dua le nahi jatay

Aab mujh se un aankh0n ki hifazaat nahi h0te

Aab mujh se tery khwab sanbhalay nahi jatay

Aankh0n se nikaltay ho magr dhiyaan mein rakhna

Tum aisay bhi dil se nikalay nahi jatay

Aisa bhi nahi chor k jatay nahi khuwabaan

Jate hain magr lout'nay walay nahi jatay

Jangal k yeh poday hain inhin ch0r de Neyyar

Ghum aap jawan hotay hai paalay nahi jatay

No comments:

Post a Comment