Monday, 8 September 2014

Sharif Faiyaz

Thay honth us k gulaab jaisay
.
Wo mujh pe itraay azaab jaisay
.
Hassen zamane mein hon gay be'hadd
.
Magar kahan hain jaanab jaisay
.
Zubaan se un ki ho na ha hai
.
Kham0shi in ki jawaab jaisay
.
Jo pur'sak0n hain hasen mukhray
.
Lagay wo hum ko shiya'maab jaisay
.
Pee'ya gharib0n ka kho0n jinho ne
.
Bane howay hain nawaab jaisay
.
Bikhr gi hain shuawey har so
.
Utha diya ho nikaab jaisay
.
Faiyaz khush wo howay to hon gay
.
Bahay jo anso0 chaanaab jaisay

No comments:

Post a Comment