Sufaid rang k jorey yeh zirq-e-barq libaas
.
Yeh eid gaah k pur'kaif-o-mast nizarey
.
Jaben-e-shoq mein sajdon ki justaju le kar
.
Khari hai qom-e-muslman saf ba'saf tanha
.
Namaz eid ki saat talash karti hai
.
Mita-e-jazab-e-taat talash karti hai
.
Yeh apni umr mein barkat talaash karti hai
.
Khuday-e-pak ki rehmat talash karti hai
.
Badal gaya hain zamana badal gayein qadrein
.
Magr tajale eideyen ab bhi baqi hai
.
Agr dilon se hain mehrom aj k insan
.
Sarwar-e-eid mein taaseer ab bhi baqi hai
.
Khuda kare k ata ho azeez muslim ko
.
Saleqa eid ka khud yom-e-eid se barh kar
No comments:
Post a Comment