Kahein ashk chupa k tumhein eid mubarik
.
Nigahen jhuka k tumhein eid mubarik
.
Tumhari jafaiyen wo sari khataien
.
Sabhi kuch bhula k tumhein eid mubarik
.
Mubarik ho har ik ko us ka muqadar
.
Hamein gham jahan k tumhein eid mubarik
.
Sitm gar ne roka jo dast-e-jafa kuch
.
Kaha ham ne ja kar tumhein eid mubarik
.
Zara ahl-e-duniya k andaaz dekho
.
Kahein dil dukha k tumhein eid mubarik
.
Agr tum se saqi ne wada kiya hai
.
Piyaale luta k tumhein eid mubarik
.
Kaha ik panchi ne zahid se kal'shab
.
Nashemeen jala k tumhein eid mubarik
No comments:
Post a Comment