Jaagta kaise na phir mera muqadar saayen
.
Meem hain paanch miray naan kay andar saayen
.
Main nay shabir ko samjha tu samajh aaye hai
.
Fard-e-wahid bhi tu ho sakta hai lashkar saayen
.
Ab kisi awr say milnay ki zarorat hi nahin
.
Khawhishain khtam hoyen aap say mil kar saayen
.
Gadlay pani kay faqat daikhay hain jawhar main nay
.
Jaanay kis dais main hotay hain samandar saayen
.
Aap atay hain tu bemari chali jati hai
.
Aab tabiyat bhi hai mahmood ki behtar saayen
No comments:
Post a Comment