Jamo sagar say nikal aur mulk k halat dekh
.
Ho giya tareek manzar mojab-e-afat dekh
.
Jab jawan betey ka lash tha othaya baap nain
.
Cheekh ker us nain kaha tha lout gaye baraat dekh
.
Khun muqadar ka sitara qardishon mein agaya
.
Kia howa aisa najomi dekh mera hath dekh
.
Jab khudey paak nain sab ko baraber ker dia
.
Tujhe ko kis nain haq dia insaan ki tu zaat dekh
.
Hai khabar fakiya kashi se maar gaya bacha yateem
.
Apne bangle se nikal or ashk ki barsaat dekh
.
Apney hi khadaar ban kar lout letey hain watan
.
Is liye muhaat rehna ghor kar or sath dekh
.
Is jahan be'hisan mein hain sadaien be'asaar
.
Tor de majid qalam ko hadd mein raah uqaat dekh
No comments:
Post a Comment