Sunday, 19 October 2014

Rashid Malik

Tira khayal kuch aise mere khayal mein hai
.
Har ik gosha'jaan jis tarha dhamal mein hai
.
Thirakti yon hai mery sehn-a-jaan mein yaad teri
.
Ke ghungharon ki chanak jaise eteen taal mein hai
.
Tumhare zulm-o-sitam be to kuch aroj pe hain
.
So mera zabt be khuch in din0n kamal mein hai
.
Baja ke ishq ne har baal dil ko qaid kiya
.
Par ab k lagta hai khud ishq apne jaal mein hai
.
Nazr parey to mere paaon dagmagate hain
.
Nasha ajeb he zalim tere jamal mein hai
.
Chalo ke or kisi sheiy ka karobar karen
.
Ye karobar muhabaat to ab zawal mein hai
.
Tire marez-a-muhabbat ka keya bana rashid
.
Wo maar chuka hai ya zinda hai kaise haal mein hai

No comments:

Post a Comment