Wednesday, 22 October 2014

Mirza Ghalib

Aah ko chahiye ik umr asar hone tak
.
Kaun jita hai teri zulf ke sar hone tak
.
Daam har mauj men hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang
.
Dekhen kya guzare hai qatare pe gauhar hone tak
.
Aashiqi sabr-talab aur tamana betaab
.
Dil ka kya rang karun Khun-e-jigar hone tak
.
Ham ne maana ke tagaful na karo ge lekin
.
Khaak ho jayen ge ham tum ko Khabar hone tak
.
Partaw-e-Khur se hai shabanam ko fana ki taalim
.
Main bhi hun ek inaayat ki nazar hone tak
.
Yak_nazar besh nahin fursat-e-hasti Gaafil
.
Garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
.
Gam-e-hasti ka 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
.
Shama har rang men jalati hai sahar hone tak

No comments:

Post a Comment