Aankhon mein saja sapna mitaya na jaye ga
.
Dil mein utha jo shola bujhaya na jaye ga
.
Jab se suni hai ahat qadmon ki un ki maine
.
Der se nazr ko apni hataya na jaye ga
.
Dunya ajab jagah hai bante hain sab khuda
.
Sir sam'ne kisi k jhukaya na jaye ga
.
Aankhon ka jaam jab se piya hon bahek geya
.
Koi nasha gale se utara na jaye ga
.
De ga har aik zakhm mujhe janta hon main
.
Is dil mein koi aab to basaya na jaye ga
.
Dard-e-judai se hai bahut ashna shakil
.
Nazron mein ab to koi basaya na jaye ga
No comments:
Post a Comment