Jab zakhm0n se bhar jatey hain raat hawa or main
.
Kham0shi se maar jatey hain raat hawa or main
.
Jin baataon se ham ko din bhar r0kti hai duniya
.
Wo baatein bhi kar jatey hain raat hawa or main
.
Dekhne wala h0ta hai wo manzir jab thak kar
.
Apne apne ghar jatey hain raat hawa or main
.
Waqt k hath pe anso phol sitara or ik yaad
.
Jatey jatey dhar jate hain raat hawa or main
.
Teri ankh ishara karte hai or phir chaat se
.
Bas chup chap utar jatey hain raat hawa or main
.
Gonjne lagte hai kan0n mein suntay ki cheikh
.
Baithe baithe dar jatey hain raat hawa or main
.
Aik dewar se ban jati hai zahid raste mein
.
Teri simat agr jatey hain raat hawa or main
No comments:
Post a Comment