Aaya hi nahin ham ko aahista guzar jana
.
Sheshe ka muqadar hai takra key bikhar jana
.
Taaron ki tarah shab key seene mein utar jana
.
Aahat na ho qadmon ki is tarh guzar jana
.
Nashe mein sanbhalne ka fan yun hi nahin aata
.
In zulfon se sekha hai lahra key sanwar jana
.
Bhar jayen ge aankhon mein aanchal se bandhe badal
.
Yaad aaye ga jab gul par shabnam ka bikhar jana
.
Har mor pe se do aankhen ham se yahi kahti hain
.
Jis tarh bhi mumkin ho turn laut key ghar jana
.
Pathar ko mira saya aaina sa chamka de
.
Jana to mira sheesha yun dard se bhar jana
.
Ye chaand sitaare turn auron key liye rakh lo
.
Ham ko yahin jena hai ham ko yahin mar jana
.
Jab toot gaya rishta sar-sabz paharon se
.
Phir tez hawa jane kis ko hai kidhar jana
No comments:
Post a Comment