Monday, 20 October 2014

Zahid Shamsi

Kitne chehrey ankh mein khuwab banate hain
.
Aur phir meri raat azaab banate hain
.
Dil ko pyar ki shidat sehra karti hai
.
Aankh mein pheley aks sehraab banate hain
.
Un ko kache ghar ku yaad nahi rahte
.
Jo dariy0n ko selaab banate hain
.
Meri dahmaley dekhne wale hoti hain
.
Pani jab paaon gardaab banate hain
.
Patta patta shakhey jhomne lagte hain
.
Qatra qatra aabr-e-sharaab banate hain
.
Duniya walo ham wo shayaar hote hain
.
Likh k dil k dard kitaab banate hain
.
Zahid shamsi raat musale par ja kar
.
Ham apni aankhein talaab banate hain

No comments:

Post a Comment