Is ghum ko ikhtiyaar nahi kar raha h0n main
.
Yuh to nahi k pyar nahi kar raha h0n main
.
Aab dekhta h0n raah mein dunia saji hoi
.
Aab tera intazaar nahi kar raha h0n main
.
Le rakh tu apna harf-e-tasali bhi pas rakh
.
Yeh koi karobaar nahi kar raha h0n main
.
Kuch dair se hai rang-e-tamasha ruka howa
.
Aik teer dil k paar nahi kar raha h0n main
.
Yuh to rahe ho tum bhi safa-e-dushman0n mein dost
.
Lekin tumhaien shumaar nahi kar raha h0n main
No comments:
Post a Comment