Gile shikwe mita kar mushkurao eid ka din hai
.
Purani ranjisho ko bhol jaao eid ka din hai
.
Wo jin ko besabab thukra diya hai duniya walo ne
.
Gaale in be'sharon ko lagaon eid ka din hai
.
Akhwat bhai chara dosti ikhlas phelaao
.
Muhabbat k diye ghar ghar jaalao eid ka din hai
.
Wo jin bachon ka bachpan karkhane cheen letay hain
.
Wo bachpan phir unhin wapis dilaao eid ka din hai
.
Kisi k waste nafrat na rakho apne sine mein
.
Jo rothe hain unhein chal ka maanaao eid ka din hai
.
Kamaz kaam aj k din ho khusi har ik chehre par
.
Sabhi mil kar dua ko hath uthaao eid ka din hai
No comments:
Post a Comment