Dard minat'kashe-dava na hua
.
Main na acha hua bura na hua
.
Jama karate ho kyon raqibon ko
.
Ik tamasha hua gila na hua
.
TaHam kahan qismat azamane jaayen
.
Tu hi jab Khanjar azama na hua
.
Kitane shirin hain tere lab ke raqib
.
Galiyan kha ke be'maza na hua
.
Hai Khabar garm un ke aane ki
.
Aj hi ghar men boriya na hua
.
Kya wo na'marud ki Khudai thi
.
Bandagi men mera bhala na hua
.
Jaan di di hui usi ki thi
.
Haq to yun hai ke haq ada na hua
.
ZaKhm gar dab gaya lahu na thama
.
Kaam gar ruk gaya rava na hua
.
Raha zani hai ki dil'sitane hai
.
Le ke dil dil'sitan rava na hua
.
Kuch to parhiye ki log kahate hain
.
Aaj 'Ghalib' Gazal'sara na hua
No comments:
Post a Comment