Friday, 10 October 2014

Zahid Shamsi

Aik khuwab main ne khuwab mein dekha maaraa howa
.
Khud ko jo zindha dekha to kuch hosla howa
.
Aye ankh tujh ko dil se mein kesy juda kar0n
.
Pani mein aag aag mein pani mila howa
.
Saad shukir us ko dekh liya hai phir ik baar
.
Saada shukir mera zakhm-e-tamana haaraa howa
.
Aab tak hai yaad mujh ko kisi bewafa ka naam
.
Aik ashk ab bhi hai sar-e-meshar'gaan rukaa howa
.
Aab tak meri wafa mein jan0n khizayan nahi
.
Aab tak hai mera chaak-e-girbaan silaa howa
.
Imkaan to nahi hai magr jaa k dekh lo
.
Mil jaye shehr bhar mein koi jagta howa
.
Darwaza band dekh k chakraa k gir para
.
Aya tha apne ghar ki taraf dhorta howa
.
Zahid mujhe yaqen to hai apne aap par
.
Mil jaao ga main khud ko kahien par paraa howa

No comments:

Post a Comment