Tuesday, 28 October 2014

Mirza Ghalib

Dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya
.
Aatish-e-Khamosh ke manind goya jal gaya
.
Dil men zauq-e-vasl-o-yaad-e-yaar tak baaqi nahin
.
Aag is ghar men lagi aisi ki jo tha jal gaya
.
Main adam se bhi pare hun warna Gaafil! baraha
.
Meri aah-e-aatashin se baal-e-anqa jal gaya
.
Arz kije jauhar-e-andesha ki garmi kahan
.
Kuch Khayaal aaya tha vahashat ka ki sehara jal gaya
.
Dil nahin tujh ko dikhata varna daaGon ki bahar
.
Is charaGan ka karun kya kara farma jal gaya
.
Main hun aur afsurdagi ki aarazu "Ghalib"! ke dil
.
Dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya

No comments:

Post a Comment